Kaali aur gori
Aaj bhi samaj mein kale aur gore ka bhed hota hai. Hum doosre logo ko uske gore cehre se pasand karte hai uske gore dil se nahi. Lekin aaj to Dil kitna bhi kala kyun na ho rang gori cahiye. Isi kali aur gori rang aur man pe adharit humari agli kahani hai.
Do behene thi Sita aur sangita. Lekin sabhi uske naam ke wajay rang se pehcante the. Sita gori aur sangita kali thi. Sita choti behan aur sangita badi behan thi. Unke rang ka antar unke ristedaro aur samaj ke pyar mein bhi antar karta tha. Sabhi sita ko bahut pyar karte the aur sangita se thodi ghreena karte the. Rang ke sath sath unke maan ka bhi antar tha. Sita andar se ghamandi aur nakhrewali thi. Wahi sangita maan ki saaf, santoshi aur khule dil ki thi, Wo sabhi se ache aur adar ke sath baat karti thi wahi sita sirf apne mobile mein lagi raheti thi. Aur laad pyar ki wajah se wo bahut bigad bhi gayi thi. Wahi doosri taraf sangita padhne me bahut honhar thi aur class mein bhi bilkul first ati thi. Tab bhi use koi utna nahi puchta tha. Lekin maa jiske liye uske apne beta aur beti mein koi antar nahi hota na hi rang se aur na hi man se.
Issitarh dono badi hoti gayi aur dono ek din itni badi ho gayi ki unki shadi ki umar ho gayi. Lekin phir bhi badi beti padhti rahi aur choti beti bus apne dosto ke sath masti karti thi.Phir unke pita ji pehle apni badi beti ki shaadi ke liye rishta dekhne laga. Adhiktar unki badi beti ke kale rang ke wajah se use napasand kar dete the. Lekin ek baar uske papa ne kisi tarah ek ladke ke parivaar ko mana liya jo unke karibi dost the. To jab ladka aur uske parivaar wale sangita ko dekhne aye to usne Sangita ke jagah sita ko pasand kar liya . Tab uss din sangita ke dil ko bahut zyada chot laga. Aur jab sabhi mehman chale gaye to uske pitaji ne kaha-" kya issi din ke liye tujhe paida kiya tha. Mujhe sabse zyada dukh tere kale rang ki wajah se aaj hua hai.". Sangita andar se puri tarah toot gayi thi aur phir usne apne-aap se pran liya ki jab tak wo job nahi legi tab tak wo shaadi nahi karegi. To usne aur zyada mehnat karna chalu kar diya.
Doosri taraf Sita apne Mausi ke bete ke shaadi mein chali gayi. Jaha uski mausi ne use 1-2 mahine pehle hi shopping aur kuch help ke liye bulaya tha. Sangita to apne rang ki wajah se bahut kum hi shaadio mein jati thi. Aur agar jati bhi to bahut kum hi dino ke liye. Issliye usne iss shaadi mein shaadi ke din hi jane ko decide kiya. Aur wo idhar apni padhai karti rahi aur exams aur interview bhi kuch doosre bahane se jati thi lekin wo ye sab baat apni maa ko batati thi aur usne apne exams aur interview ke liye papa ko kehne se mana kiya tha.Uske pitaji bhi aab bahut zyada udas aur lachar ho gaye the. Isliye unhone bhi umeed kho di thi ki aab iska kya hoga.
Phir kaise kaise karke paiso ke dum pe Uske pitaji ne ek ladke ke parivaar ko mana liya. Ladka railway driverr tha jo ki achi khasi paise ki demand kar raha tha. Tabhi ek din Ladka aur uska pura parivar use dekhna aya tha. Jab Sangita ne uss ladke ko dekha to use uski umar thodi zyada lagi. Lekin uske pita ne kisi tarah uska rista paka karne ko socha.
Ussi beech dekha ki Sita darwaze pe rehti hai lekin ek ladke ke sath jiske sath usne bhag kar shaadi kar li thi. Sangita, uske pita aur uski maa bilkul aschary ho gaye. Aur phir ladkewalo ne ye dekhkar kaha-"jiske ghar ki ladkiya aisi gool khilanewali ho uss ghar mein main apne bete ki shaadi kaise kara sakta hoon". Phir Sangita ke mata-pita unhe jane se rokne lage lekin wo ja rahe the. Issi beech Unke ghar mein parcel ata hai. Parcel kholne par pata chalta hai ki usme Sangita ke IAS ka joining letter hai. Joining letter dekh kar sabhi shock mein aa gaye aur Sangita aur uski maa khusi ke mare ro padi. Tabhi ladkewalo ne kahan- "Are hume to ladki se shaadi karne hai uski behan se thode hi hum rishta manzoor hai". Tabhi Sangita ne kaha- "Lekin mujhe ke rista manzoor nahi hai". Ye sunkar uske pita pure achmbhe mein aa gaye aur socha ki jis beti ko ladke napasand karte the usi beti ne aaj ek ladke ko napasand kiya. Phir unhone bhi Ladkowale se mafi mangi aur unhe jane ko kaha. Tabhi Sangita ne papa kaha- jiss cheez ko main koyla samjhta tha wo to heera nikla aur jise heera samjhta tha wo koyle se bhi batar nikla.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें